Friday, 15 May 2015

Teergi k parwano kholo rauzan e zinda'n dekho din ki taareeki raushni k parde se dekho shahrahon par hilte dulte saayon ko ghar se jo nikalte hain thodi door chalte hain thak k baith jaate hain aao thoda aagey ko aur kuch dikhata hoon wo sadak jo ujli si doodhiya siyahi me doobi doobi lagti hai wo sadak ameer e shaher k mahel ko jati hai us sadak kinaare jo log hath phailaaye aur taktaki bandhe dekhte hain darwaza un me kuch to munsif hain aur kuch muhafiz hain kuch hain shaikh o brahmann aur kuch mujhahid hain tajiron ka tola bhi inke daen bayen hai mukhtasar kahon gar to jo bhi hain khade us ja go ye naam wale hain sab magar bhikari hain tum agar samajhte ho qaid me ho zinda'n me to ghalaat samajhte ho tum ho jism k qaidi rooh se tum ho azad tum hi sirf ho azad ye jo ghoomte hain sab ye hain qaid e zindan me go k inke hathon me hathkadi nahi koi na hi hain zanjeer ba pa lekin inke hathon me hirs ki rasan hai aur inke zehan o dil par bhi ek hawas ka taala hai na ye koi munsif hain na koi muhafiz hain na hi shaik koi aur na hi ye pujari hain sab k sab bhikari hain jism se to hain azad rooh inki qaidi hai rooh jab aseer ho jaye shah ke khazane ki ilm o fun hunar sab jab tola jaaye sikkon me qaid usko kehte hain teergi k parwano tum aseer e zindan ho dar haqeeqat ho azaad tum hi sirf ho aazad
Aaj shab ghazab ki hai aaj shab qayamat hai aaj khud se darta hoon aaj kitni wehshat hai charon oar yaaden hain aur main hoon markaz me kuch siyaah lamhe hain ek safed kaaghaz me behisi sametey main baam o dar ko takta hoon bekhudi me na jaane kaise sher bakta hoon khud ko dhoondhta hoon main sooni siyah raton me mere aagey khud main hoon le k hath hatho me yeh zameen begaani aasman anjaana mujhse ashna hai to wo bhi main hi deewana maine is andhere me ek charagh paya hai jiski lau teri yaden jisme tu samaya hai dil magar ye kehta hai is se fayeda kya hai khud ka ji jalate ho yaar qayeda kya hai lanaten hain taaney hain berukhi taghaful hai ab yeh tohmat e beja mera haasil e kul hai mainey aisa socha tha sath woh nibhayega jaise chahta hoon main wo bhi mujhko chahega main fida hoon uspe to mujhpe wo fida hoga wo meri rag e jaa'n hai mujhse kab juda hoga maine usko bandha kya hasee'n khayalon me wo jawab hota tha mere sab sawaalon mein dost dilruba tha woh dost ba wafa tha woh main mareez e ulfat tha aur meri dawa tha woh wo mera saleeqa tha jeeney ka qareena tha biphrey biphre dariya me wo mera safeena tha sath sath chalta tha wo to mera saya tha mah o saal sadiyon me maine usko paya tha aik shab wo bola tha tum wafa nibhaogey main ussey bola tha kya tum azmaogey? Muskara k wo bola aitbaar hai tumpe meri dastras me ho ikhtiyar hai tumpe aaj phir wahi shab hai aitbaar ghayeb hai aaj bhi wahi hoon main ikhtiyar ghayeb hai jane kya hua dekho sab ajeeb manzar hai yaad mere seeney me jaise misl e khanjar hai main wahin pe bhaitha hoon tum jahan se bichde the main wahin pe baithunga tum jahan se bichde the ai hayat e man dekho ji kare to laut aana warna tum ko haq bhi hai ji kare to mat aana maine to isi soorat zindagi guzaari hai zindagi pe bhi kya haq ye bhi sab tumhari hai tum mukar bhi sakte ho keh do kab muhabbat hai tumse kya gila mujhko ye tumhari aadat hai aaj khud se darta hoon aaj kitni wehshat hai
Phir doobne wala hai mere dil ka safeena us shokh k gaalon pada phir se bhanwar aaj Mohtaaj na tha aag ka Sita ka taqaddus Ye baat to kehte hain sabhi log magar aaj Wo dhoop hai lagta hai k mehshar hi bapa hai fariyaad kiye jata hai barish se shajar aaj Phir aaj koi chand sulag jaane ki shab hai phir suu e falak utthi qalandar ki nazar aaj Wo mast nazaz kehti aa dekh tabaahi khanjar si nigahon ki tu rakh teer o tabar aaj Phir baant tabassum ka ujala mere sooraj phir raat ke daman se nikal aaye sehar aaj Dastaar sambhale koi kaise mere maula us bazm me toh daanv pe hain logon k sar aaj Munsif ka ye farmaan hai qatil ko ata ho soona na rahe dekhiyo maqtool ka ghar aaj

Tuesday, 25 March 2014

hamari zindagani me kabhi ye haadsa hoga wo hamraz e junuun ek roz apna aashna
jalenge aag me ulfat ki lab pe uff nahi hogi sukuun hoga kuch aisa k zamana dekhta hoga
main so jaonga teri yad ki chadar taley aur tu bhula kar mujhko meri yaad me hi jaagta hoga
tere jane se na jane se hamko kya gharaz kyon k hamare dil me tu rahta hai phir kya faasla hoga
meri wehshat tumhari dillagi ye rang layenge main raqsaan dhadkano ki taal pe tu be zuba'n hoga
main sajde me rakhunga sar wo rokega muhabbat se meri zid aur uske naaz ka bhi kya samaa'n hoga
qayamat me qayamat hogi mehshar hashr me hoga k jab us naaznee'n ka aur apna saamna hoga
khirad k daam me aakar na kho dena kahin imaa'n juunu'n walo k hi haq me waha par faisla hoga
khuda ka khauf kar ai na khuda maghruur youn na ho wagarna hogi ye kashti na phir ye baadba'n hoga
kamal e ishq to ye hai k jal jao khamoshi se numaaish kar k khud ki baat phailane se kya hoga.
Mujhko samjhao mere ghar ki raah haan usi dasht e pur khatar ki raah
aap k paa e naaz hain gul se aur pur khaar hai safar ki raah
youn guzaari hai zindagi jaise reg e be nakhl me basar ki raah
dil me ana hai be dhadak aao muntazir kab se hai nazar ki raah
ankh utha kar sharab de saaqi rok mat is tarah asar ki raah
rahguzar meri Qais waali hai kyon chaloon aam se bashar ki raah

uski janib badhegi khud manzil jisne le li tumhaare dar ki raah


Ba Khuda

main agar bewafa nahi hota tu kabhi paarsa nahi hota
zabt e gham ne sambhaal rakha hai ankh se khoo'n rawaa'n nahi hota
maslak e ishq ek tarfa hai duusra raasta nahi hota
gham hame ched ched kar jate maikada gar khula nahi hota
kam naseebi ka zikr ho kyon kar yaar Rab se gila nahi hota
jugnuuo jao apna rasta lo teergi ka bura nahi hota
yaa'n qayamat hai aah bhi aur waa'n khuun ka tazkera nahi hota
tum nahi hote jab qareeb kbhi zindagi ka gumaa,n nahi hota
sab ana ki karishma sazi hai muttafiq faisla nahi hota
nakhuda k huzuur kya girna ba khuda wo khuda nahi hota
jaam saghar sabhi nahi hote har koi saaqiya nahi hota
mashwere tere sab durust sahi kya karoo,n zaahida, nahi hota
phir wahi aql o hosh ki baate'n? aur kuch tumse kya nahi hota?
mai agar chaat leta uske paaon sar badan se judaa nahi hota
ye meri hi jabeen ki hai khata warna wo but khuda nahi hota
kuch tamasha e zindagi bhi hai har sanam bewafa nahi hota
dil tere hijr me jalaata hoon mere ghar me diya nahi hota.
chand bhi dil k jaisa hai shayad warna youn doobta nahi hota
zindagi aur begunaah guzre? hamse aisa gunaah nahi hota
dal kar dekh to nigah e karam har maraz la dawa nahi hota
husn hota to hai gulabon me aap k honth sa nahi hota
tum bura roz roz kahte ho aur main be maza nahi hota
jaa'n lutata hu sad hazar dafa kya karu haq ada nahi hota

#Sagheer Ahmad