main agar bewafa nahi hota
tu kabhi paarsa nahi hota
zabt e gham ne sambhaal rakha hai
ankh se khoo'n rawaa'n nahi hota
maslak e ishq ek tarfa hai
duusra raasta nahi hota
gham hame ched ched kar jate
maikada gar khula nahi hota
kam naseebi ka zikr ho kyon kar
yaar Rab se gila nahi hota
jugnuuo jao apna rasta lo
teergi ka bura nahi hota
yaa'n qayamat hai aah bhi aur waa'n
khuun ka tazkera nahi hota
tum nahi hote jab qareeb kbhi
zindagi ka gumaa,n nahi hota
sab ana ki karishma sazi hai
muttafiq faisla nahi hota
nakhuda k huzuur kya girna
ba khuda wo khuda nahi hota
jaam saghar sabhi nahi hote
har koi saaqiya nahi hota
mashwere tere sab durust sahi
kya karoo,n zaahida, nahi hota
phir wahi aql o hosh ki baate'n?
aur kuch tumse kya nahi hota?
mai agar chaat leta uske paaon
sar badan se judaa nahi hota
ye meri hi jabeen ki hai khata
warna wo but khuda nahi hota
kuch tamasha e zindagi bhi hai
har sanam bewafa nahi hota
dil tere hijr me jalaata hoon
mere ghar me diya nahi hota.
chand bhi dil k jaisa hai shayad
warna youn doobta nahi hota
zindagi aur begunaah guzre?
hamse aisa gunaah nahi hota
dal kar dekh to nigah e karam
har maraz la dawa nahi hota
husn hota to hai gulabon me
aap k honth sa nahi hota
tum bura roz roz kahte ho
aur main be maza nahi hota
jaa'n lutata hu sad hazar dafa
kya karu haq ada nahi hota
#Sagheer Ahmad
No comments:
Post a Comment