Tuesday, 10 December 2013

phir laut kar zameen pe aya na jayega phir zindagi ka bojh uthaya na jayega
awaz kho gayi kahi dunia k shor mein, ab aur hamse tumko bulaya na jayega
layeq sadd ehteram hai waaiz ka mashwera lekin ye bojh hamse uthaya na jayega
ashkon ka mojeza hai chaman dil ka sabz hai paani se aisa sabza ugaaya na jayega,
dam akhri hai dekho dil hai mubtila e marg phir hamse dil ka haal dikhaya na jayega
ye kya sitam hai Meer ka misra thama diya sehra me hamse phool ugaaya na jayega
kaise kahenge hal e dil e beqarar ham aur raaz e ish bhi to chhupaya na jaega
mahv e khayal yar the waa'n tak pahonch gaye jis ja se laut kar kabhi aaya na jayega,
dunia ki hasrton ne muhabbat samet di phir ishq ka musalla bichhaya na jayega.
by #Sageer Ahmad

No comments:

Post a Comment