Tuesday, 25 March 2014

hamari zindagani me kabhi ye haadsa hoga wo hamraz e junuun ek roz apna aashna
jalenge aag me ulfat ki lab pe uff nahi hogi sukuun hoga kuch aisa k zamana dekhta hoga
main so jaonga teri yad ki chadar taley aur tu bhula kar mujhko meri yaad me hi jaagta hoga
tere jane se na jane se hamko kya gharaz kyon k hamare dil me tu rahta hai phir kya faasla hoga
meri wehshat tumhari dillagi ye rang layenge main raqsaan dhadkano ki taal pe tu be zuba'n hoga
main sajde me rakhunga sar wo rokega muhabbat se meri zid aur uske naaz ka bhi kya samaa'n hoga
qayamat me qayamat hogi mehshar hashr me hoga k jab us naaznee'n ka aur apna saamna hoga
khirad k daam me aakar na kho dena kahin imaa'n juunu'n walo k hi haq me waha par faisla hoga
khuda ka khauf kar ai na khuda maghruur youn na ho wagarna hogi ye kashti na phir ye baadba'n hoga
kamal e ishq to ye hai k jal jao khamoshi se numaaish kar k khud ki baat phailane se kya hoga.
Mujhko samjhao mere ghar ki raah haan usi dasht e pur khatar ki raah
aap k paa e naaz hain gul se aur pur khaar hai safar ki raah
youn guzaari hai zindagi jaise reg e be nakhl me basar ki raah
dil me ana hai be dhadak aao muntazir kab se hai nazar ki raah
ankh utha kar sharab de saaqi rok mat is tarah asar ki raah
rahguzar meri Qais waali hai kyon chaloon aam se bashar ki raah

uski janib badhegi khud manzil jisne le li tumhaare dar ki raah


Ba Khuda

main agar bewafa nahi hota tu kabhi paarsa nahi hota
zabt e gham ne sambhaal rakha hai ankh se khoo'n rawaa'n nahi hota
maslak e ishq ek tarfa hai duusra raasta nahi hota
gham hame ched ched kar jate maikada gar khula nahi hota
kam naseebi ka zikr ho kyon kar yaar Rab se gila nahi hota
jugnuuo jao apna rasta lo teergi ka bura nahi hota
yaa'n qayamat hai aah bhi aur waa'n khuun ka tazkera nahi hota
tum nahi hote jab qareeb kbhi zindagi ka gumaa,n nahi hota
sab ana ki karishma sazi hai muttafiq faisla nahi hota
nakhuda k huzuur kya girna ba khuda wo khuda nahi hota
jaam saghar sabhi nahi hote har koi saaqiya nahi hota
mashwere tere sab durust sahi kya karoo,n zaahida, nahi hota
phir wahi aql o hosh ki baate'n? aur kuch tumse kya nahi hota?
mai agar chaat leta uske paaon sar badan se judaa nahi hota
ye meri hi jabeen ki hai khata warna wo but khuda nahi hota
kuch tamasha e zindagi bhi hai har sanam bewafa nahi hota
dil tere hijr me jalaata hoon mere ghar me diya nahi hota.
chand bhi dil k jaisa hai shayad warna youn doobta nahi hota
zindagi aur begunaah guzre? hamse aisa gunaah nahi hota
dal kar dekh to nigah e karam har maraz la dawa nahi hota
husn hota to hai gulabon me aap k honth sa nahi hota
tum bura roz roz kahte ho aur main be maza nahi hota
jaa'n lutata hu sad hazar dafa kya karu haq ada nahi hota

#Sagheer Ahmad