Tuesday, 2 September 2014
Dariya simat k kooze k andar sa hogaya Sehra meri nazar ka samandar sa ho gaya veeraniyon ne aisa sama,n bandha yak ba yak mahol sab badal k mere ghar sa ho gaya kuch aisi sard mehri se ehbaab pesh aye july bhi badal k december sa ho gaya pheri jab ankh ap ne dunia k sath sath main bhi badal k bhes qalandar sa ho gaya aghiyar k sitam pe harasaan na tha zara tera sitam kaleje k andar sa ho gaya mera wajood tere liye aik bojh tha le aj main bhi guzre se manzar sa ho gaya
Tuesday, 25 March 2014
hamari zindagani me kabhi ye haadsa hoga
wo hamraz e junuun ek roz apna aashna
jalenge aag me ulfat ki lab pe uff nahi hogi
sukuun hoga kuch aisa k zamana dekhta hoga
main so jaonga teri yad ki chadar taley aur tu
bhula kar mujhko meri yaad me hi jaagta hoga
tere jane se na jane se hamko kya gharaz kyon k
hamare dil me tu rahta hai phir kya faasla hoga
meri wehshat tumhari dillagi ye rang layenge
main raqsaan dhadkano ki taal pe tu be zuba'n hoga
main sajde me rakhunga sar wo rokega muhabbat se
meri zid aur uske naaz ka bhi kya samaa'n hoga
qayamat me qayamat hogi mehshar hashr me hoga
k jab us naaznee'n ka aur apna saamna hoga
khirad k daam me aakar na kho dena kahin imaa'n
juunu'n walo k hi haq me waha par faisla hoga
khuda ka khauf kar ai na khuda maghruur youn na ho
wagarna hogi ye kashti na phir ye baadba'n hoga
kamal e ishq to ye hai k jal jao khamoshi se
numaaish kar k khud ki baat phailane se kya hoga.
Mujhko samjhao mere ghar ki raah
haan usi dasht e pur khatar ki raah
aap k paa e naaz hain gul se
aur pur khaar hai safar ki raah
youn guzaari hai zindagi jaise
reg e be nakhl me basar ki raah
dil me ana hai be dhadak aao
muntazir kab se hai nazar ki raah
ankh utha kar sharab de saaqi
rok mat is tarah asar ki raah
rahguzar meri Qais waali hai
kyon chaloon aam se bashar ki raah
uski janib badhegi khud manzil
jisne le li tumhaare dar ki raah
Ba Khuda
main agar bewafa nahi hota
tu kabhi paarsa nahi hota
zabt e gham ne sambhaal rakha hai
ankh se khoo'n rawaa'n nahi hota
maslak e ishq ek tarfa hai
duusra raasta nahi hota
gham hame ched ched kar jate
maikada gar khula nahi hota
kam naseebi ka zikr ho kyon kar
yaar Rab se gila nahi hota
jugnuuo jao apna rasta lo
teergi ka bura nahi hota
yaa'n qayamat hai aah bhi aur waa'n
khuun ka tazkera nahi hota
tum nahi hote jab qareeb kbhi
zindagi ka gumaa,n nahi hota
sab ana ki karishma sazi hai
muttafiq faisla nahi hota
nakhuda k huzuur kya girna
ba khuda wo khuda nahi hota
jaam saghar sabhi nahi hote
har koi saaqiya nahi hota
mashwere tere sab durust sahi
kya karoo,n zaahida, nahi hota
phir wahi aql o hosh ki baate'n?
aur kuch tumse kya nahi hota?
mai agar chaat leta uske paaon
sar badan se judaa nahi hota
ye meri hi jabeen ki hai khata
warna wo but khuda nahi hota
kuch tamasha e zindagi bhi hai
har sanam bewafa nahi hota
dil tere hijr me jalaata hoon
mere ghar me diya nahi hota.
chand bhi dil k jaisa hai shayad
warna youn doobta nahi hota
zindagi aur begunaah guzre?
hamse aisa gunaah nahi hota
dal kar dekh to nigah e karam
har maraz la dawa nahi hota
husn hota to hai gulabon me
aap k honth sa nahi hota
tum bura roz roz kahte ho
aur main be maza nahi hota
jaa'n lutata hu sad hazar dafa
kya karu haq ada nahi hota
#Sagheer Ahmad
Subscribe to:
Posts (Atom)