Dariya simat k kooze k andar sa hogaya
Sehra meri nazar ka samandar sa ho gaya
veeraniyon ne aisa sama,n bandha yak ba yak
mahol sab badal k mere ghar sa ho gaya
kuch aisi sard mehri se ehbaab pesh aye
july bhi badal k december sa ho gaya
pheri jab ankh ap ne dunia k sath sath
main bhi badal k bhes qalandar sa ho gaya
aghiyar k sitam pe harasaan na tha zara
tera sitam kaleje k andar sa ho gaya
mera wajood tere liye aik bojh tha
le aj main bhi guzre se manzar sa ho gaya
No comments:
Post a Comment