phir laut kar zameen pe aya na jayega
phir zindagi ka bojh uthaya na jayega
awaz kho gayi kahi dunia k shor mein,
ab aur hamse tumko bulaya na jayega
layeq sadd ehteram hai waaiz ka mashwera
lekin ye bojh hamse uthaya na jayega
ashkon ka mojeza hai chaman dil ka sabz hai
paani se aisa sabza ugaaya na jayega,
dam akhri hai dekho dil hai mubtila e marg
phir hamse dil ka haal dikhaya na jayega
ye kya sitam hai Meer ka misra thama diya
sehra me hamse phool ugaaya na jayega
kaise kahenge hal e dil e beqarar ham
aur raaz e ish bhi to chhupaya na jaega
mahv e khayal yar the waa'n tak pahonch gaye
jis ja se laut kar kabhi aaya na jayega,
dunia ki hasrton ne muhabbat samet di
phir ishq ka musalla bichhaya na jayega.
by #Sageer Ahmad