Aaj shab ghazab ki hai aaj shab qayamat hai
aaj khud se darta hoon aaj kitni wehshat hai
charon oar yaaden hain aur main hoon markaz me
kuch siyaah lamhe hain ek safed kaaghaz me
behisi sametey main baam o dar ko takta hoon
bekhudi me na jaane kaise sher bakta hoon
khud ko dhoondhta hoon main sooni siyah raton me
mere aagey khud main hoon le k hath hatho me
yeh zameen begaani aasman anjaana
mujhse ashna hai to wo bhi main hi deewana
maine is andhere me ek charagh paya hai
jiski lau teri yaden jisme tu samaya hai
dil magar ye kehta hai is se fayeda kya hai
khud ka ji jalate ho yaar qayeda kya hai
lanaten hain taaney hain berukhi taghaful hai
ab yeh tohmat e beja mera haasil e kul hai
mainey aisa socha tha sath woh nibhayega
jaise chahta hoon main wo bhi mujhko chahega
main fida hoon uspe to mujhpe wo fida hoga
wo meri rag e jaa'n hai mujhse kab juda hoga
maine usko bandha kya hasee'n khayalon me
wo jawab hota tha mere sab sawaalon mein
dost dilruba tha woh dost ba wafa tha woh
main mareez e ulfat tha aur meri dawa tha woh
wo mera saleeqa tha jeeney ka qareena tha
biphrey biphre dariya me wo mera safeena tha
sath sath chalta tha wo to mera saya tha
mah o saal sadiyon me maine usko paya tha
aik shab wo bola tha tum wafa nibhaogey
main ussey bola tha kya tum azmaogey?
Muskara k wo bola aitbaar hai tumpe
meri dastras me ho ikhtiyar hai tumpe
aaj phir wahi shab hai aitbaar ghayeb hai
aaj bhi wahi hoon main ikhtiyar ghayeb hai
jane kya hua dekho sab ajeeb manzar hai
yaad mere seeney me jaise misl e khanjar hai
main wahin pe bhaitha hoon tum jahan se bichde the
main wahin pe baithunga tum jahan se bichde the
ai hayat e man dekho ji kare to laut aana
warna tum ko haq bhi hai ji kare to mat aana
maine to isi soorat zindagi guzaari hai
zindagi pe bhi kya haq ye bhi sab tumhari hai
tum mukar bhi sakte ho keh do kab muhabbat hai
tumse kya gila mujhko ye tumhari aadat hai
aaj khud se darta hoon aaj kitni wehshat hai
No comments:
Post a Comment